Welcome to English Literature and Linguistics, Join Online Classes (Only For Ladies)

MA ENGLISH LITERATURE

Tuesday 21 November 2017

Urdu translation Of "Ode to Autumn

"
~~~~~~~~~
Stanza 1:
aey bekaraan sukoot ki naakatkhuda
dulhan!
khamoshi aur waqt k paalay hue
farzand!
taareekh daan he tu gulistan dayaar ka!
behtar meri nazam se he tere bayan ka
raaz
kanda tere wujood pe jo daastan he
kis ki he? devta hen koi? ya koi bashar?
ye kon se maqaam hen? kesi hen
vaadian?
ye sharm aur haya k jo paikar hen, kon
hen?
deevangi ko chhootay hue fard kon hen?
kesi nijaat ki he ye koshish jo he ayaan?
naghmaat chhairtay hue aalaat hen
yahan
ye be-panah junoon ki kesi hen
shokhian?
Stanza 2:
sur jo sama'aton k lye hen, wo
naghmageen,
per un sunay suron ki halaavat, kamal
he;
ae baansuri! tu geet koi chhair tou sahi
jo rooh k udass chaman ko nikhaar de...
ae khoobru javan! darakhton ki oat se
gaata rahay visaal k naghmay khushi
khushi
chakkhaen darakht saray bahaaron k
za'aiqay,
ae Aashiq e dilair! tu jurrat k baawajood
manzil k aas pass ponhochnay k
bawajood
mumkin nhi k manzil e maqsood paa hi
lay
lekin na ho malool k uska hilaal e husn
maddham na par sakay ga tere ishq ki
tarha
tu chhahta rahe ga, rahe gi wo yun
haseen!
Stanza 3:
kitni ho shokh o shang, ae sarmast
tehnyo
pattay hi jhar saken ge na jaey gi ye
bahaar
khushyon k raag chhair zara matrab e
chaman!
rukta nhi jo wajd me gaatay hue kabhi
thakta nhi he nit naey naghmay suna k
tu;
khush he boht hi khush, ye mohabbat he
khushkhisal
lekin abhi wisaal ki manzil se dur he
taaza he aur khuloos k jazbon se chhoor
he
jazbay jo zindagi ki hararat se hen
bharay
in k ataa kiye hue hen zakhm bhi haray
wo jhonkte hen dil ko ghamon k alaao
me
aakhir k qalb khud se dharakna bhi
chhor de
sookhi hui zubaan ho tapta hua badan
Stanza 4:
ye kon sa juloos he? ye kon log hen?
ye kon se nagar ki taraf in ka he safar?
ae padri bata jo chalata he bhair ko
jo daalti he dur talak aasman per
qurban gah ko jaatay hue dukh bhari
nigah
resham libaas, phoolon ki mala galay
me he
mazloomiat tou phir bhi tapakti he haal
se...
wo kon sa sheher he jo darya k pass
he?
aur wo pahaar jis pe he girjaa bana
hua?
khaali he shehr, log kahan per hen? kia
khabar?
aur ae sheher! kabhi na tere log aen ge
galyan teri udas rahen gi sada magar
koi bhi aik fard na ae ga lot ker..
Stanza 5:
ae dil nasheen zarf e yunani! k jis pe
hen
mardon aur aurton k banay marmareen
wajood
poday hen aur kuchh hen tarasheeda
daalyan
ae paikar e sukoot! pareshan na ker
hamey
roz e azal k jesa he mubham tera
wajood!
ae sang e sard! tuh mein haraarat nhi
koi
tu aanay waalay daur k logon mein ho
ga jab
insaan k dukhon ko tu dekha kare ga jab
phir khud karay ga pand o nasaeh
misaal e dost:
'bus husn hi to such he yahan, such hi
husn he',
gar jaantay nhi ho to phir jaan jao ge
iss raaz hi ka to tumhe idraak
chhahye...

1 comment:

  1. This translation is for ode on a grecian urn.. not for ode on autumn

    ReplyDelete